Make paneer cheese paratha in a new way | नये तरीके से बनाएं पनीर चीज़ पराठा |

Make paneer cheese paratha in a new way.



Hello dosto swagat hai aapka hamare blog me. to har roj ki tarah aaj bhi ham aapke liye ek nayi aur alag recipe lekar aaye hai. to aaj ki recipe ham bahut hi asani se banane wale hai aur wo bhi bahut hi tasty nhi banne wali hai. to aaj ham paneer cheese paratha banane wale hai. bahuthi asan sa tarike ham aapko ye recipe banane ka batane wale hai. to aapko hamari aaj ki paneer cheese paratha ki recipe pasand aaye to hame jarur comment me bataye aur aisi hi recipes ke liye hamare blog me visit kare sath hi aapko kis tarah ki recipe pasand hai ye bhi hame comment me bataye taki agli bar ham aapke liye aapki pasand ki recipe lekar aaye. to chaliye sharu karte hai aaj ki recipe. 

Waise to aapne kai tarah ke parathe khaye honge lekin aaj ki hamari ye recipe bahut hi asani se bahut hi jyada tasty parathe banane wale hai. to aaj ki ye recipe aap bilkul bhi skip mat kariye ise aap jarur try kare aap ekbar paneer cheese paratha banayenge to aapko ye bar - bar banane ka man karega. to chaliye sharu karte hai paneer cheese paratha ki recipe. 

Paneer cheese paratha banane ka asan tarika. 

Paneer cheese paratha banane ke liye hamne sabse pehle 500 gram aata liya hai. to hamne yaha par gehu ke aate ka use kiya hai. aur ham isme 2 chote chammach besan bhi add kar denge. aur iske sath me hi ham isme namak bhi add kar denge to hamne yaha par adha chammach namak add kiya hai. aur thoda sa aap isme butter ya desi ghee add kar dijiye ham yaha par desi ghee ka use kar rahe hai. aur iske bad ham isme pani bhi add kar denge. to ab ham aate ko aur pani ko achche se mix kar denge. to hame thoda - thoda pani add karke aate ko gund lena hai. to hame aate ko 3 se 4 minutes tak achche se gund lena hai. jab aata gund jaye tab ham iske upar thoda sa oil dal denge jisse hamara aata sukhe na. to ise kam se kam 10 se 15 minutes ke liye hame aate ko rest dena hai ise upar se cover kar dena hai. isse hamara aata sukhega nahi. to ab ham masala taiyar kar lenge. 

To hame ek pan ko gas par rakhna hai. to usme ham 1 chota chammach ham isme barik kata hua lehsun add kar denge. aur 1 chota chammach ham isme barik kata hua adarak bhi add kar denge. adarak aur  lehsun ko ham medium flam par paka lenge aur isko achche se bhun lena hai. taki iska kachchapan dur ho jaye to isko thodi der ke liye paka lne ke bad ham isme barik kati huyi hari mirch add kar denge. hari mirch ko bhi thodi der ke liye pakane ke bad ham isme barik kati huyi pyaj bhi dal denge. iske sath me hi hamne isme barik kati huyi shimla mirch bhi add kar denge. iske sath me hi ham isme kaddu kas ki huyi gajar bhi add kar denge. aap isme patta gobhi ya fulgobhi bhi dal sakte hai aur in sabjiyo me se koi sabji na ho to aap ise skip bhi kar sakte hai. sabhi masalo ko achche se mix kar dena hai. gas ki flam ko high hi rakhna hai aur kam se kam 3 se 4 minutes tak in sari sabjiyo ko achche se paka dena hai. 

Iske bad me ham isme namak add kar dena hai to isme hamne adha chammach namak add kar denge. iske sath hi ham isme thoda sa haldi powder bhi dal denge. aur thoda sa ham isme lal mirch powder ko bhi add kar denge paratho ko tikh karne ke liya. iske bad ham isme kasoori methi bhi add kar denge. thoda sa ham sime garam masala powder bhi add kar denge aur adha chammach ham isme bhina hua jeera powder bhi add kar denge. in masalo ko achche mix kar denge. to isko bhi thodi der ke liye paka lena hai. to ab ham isme paneer bhi add kar denge to hamne 200 gram paneer ko kaddu kas kar ke isme dal diya hai. isko bhi achche se mix kar dena hai. isko thodi der ke liye paka lena hai. to gas ki flam hame medium hi rakhni hai. last me ham thoda sa hara dhaniya bhi dal denge. ise mix karke masale ko thanda hone dena hai. 

To hamara aata achche se set ho gaya hai. to ab ham iski lui bana lenge. to aade aate ka ham pede bana lenge aur ab ham table pe aate se dust kar lenge jisse hamara aata chipke nahi. to isko ham achche se gol - gol kar lenge aur ab ham iski belan ki madad se roti bana lenge. to ab ham isme masal bhar lenge to roti ke bich me masala dal denge aur roti me cheese slice rakh dena hai aur roti ko upar se folt kar dena hai. to parathe ko achche se bandh kar lena hai. isko halka sa daba lena hai jisse parathe me masala fel jaye. to ab ham isko bel lenge. sukha aata lagakar ham sie bel lenge. to hamne parathe ko bel liya hai. aur hamara paratha ban chuka hai. to ab ham ise sek lenge. 
a
To hamne ek tave ko garam kar liya hai uske upar ham paratha dal denge. to hame gas ki flam medium too high rakhni hai uar parathe ko sek lena hai. ek taraf se sik jaye to parathe ko fer lena hai aur upar se ghee ya butter laga lena hai. to aise hi dono taradf se ghee ya butter lagakar sek lena hai. to hamara paratha ready hai. bahut hi asani se sk bhi gaya hai to ab ham ise ek plate me nikal lenge bahut hi achcha aur tasty dikh  raha hai hamara paratha. 

To parathe me masala bhi achche se fel gaya hai aur bahut hi badhiya paratha ban kar taiyar ho gaya hai to aapko hamari aaj ki recipe pasandd aayi ho to hame jarur comment me bataye aur aisi hi recipes ke liye hamare blog me vist kare. 

Post a Comment

Previous Post Next Post