Easy way to make almond pudding | बादाम का हलवा बनाने का आसान तरीका |

Easy way to make almond pudding. 




Hello dosto aapka swagat hai hamare blog me. to har roj ki tarah aaj bhi ham aapke liye bahut hi tasty aur asan si ek nayi recipe lekar aaye hai. to aaj ki recipe bahut hi special hone wali hai to aaj ham badam ka halwa banane wale hai bahut hi asan se tarike se aaj ham badam ka halwa banane wale hai to aapko hamari aaj ki recipe pasand aaye to hame comment me jarur bataye aur aisi hi recipes ke liye hamare blog me visit kare. aur aap is recipe ko apne ghar par jarur try kare sath hi hame ye bhi batana ki aapko kis tarah ki recipe pasand hai taki ham agli bar aapke liye aapki pasand ki recipe lekar aaye. to aaj ka badam ka halwa bahut hi tasty banne wala hai to aap is recipe ko bilkul bhi skip mat kariye to chaliye sharu karte hai aaj ki badam ke halwe ki recipe. 

Waise to aapne kai bar apne ghar par badam ka halwa banaya hoga aur aapne kai bar badam ka halwa bahar bhi khaya hoga to aaj ham jo badam ka halwa banane wale hai wo bahuthi asan se tarike se banane wale hai to aap is recipe ko pehli bar hi try kar rahe hai to ye badam ka halwa pehli bar me hi bahut hi swadisht bankar taiyar ho jayega to chaliye sharu karte hai badam ka halwa banana. 

Badam ka halwa banane ki vidhi. 

To aaj ham aapko shadi partyo wale badam ka halwa banane ka asan sa tarika batane wale hai. aap badam ke is halve ko shadi me, shardiyo me, barsat ke mausam me ya parshadi me ye halwa aap bana sakte hai. to ye halwa bahut hi tasty aur bahut hi fatafat banta hai to chaliye sharu karte hai badam ka halwa banana. 

Badam ka halwa banane ke liye hamne ek bowl le liya hai usme hamne adha cup badam da ldena hai to hamne yaha par 100 gram badam le liya hai. badam aap koi bhi aap apni pasand se le sakte hai. to hamne badam me pani dal kar isko 3 ghante ke liye bhigo dena hai. iske bad ham badam me se pani nikal lenge. ab ham badam ke chilke asani se nikal jaye uske liye ham isme 1 cup garam pani dal denge. aur ise 2 minutes ke liye dhak dena hai uske bad ye chilke bahut hi asani se nikal jayenge. iske bad ham chilke nikal lenge. to hamne sari badam ke chilke nikal liye hai. ab hame badam ko pis lena hai to iske liye hamne chota mixing ka jar liya hai usme hamne sari badam dal deni hai. ye hame aise hi pis leni hai agar ye nahi pis rahi to ham yaha par 2 badi chammach pani dalkar ise achche se pis lenge. to hame badam ko dardara sa pis lena hai ise barik nahi pisna hai. to hamne badam ko dardara sa pis liya hai. ise ham side me rakh denge. 

To ab hamne gas par ek kadhai rakh di hai to ab ham isme 1/4 cup ghee dal denge yani ki hame 60 gram desi ghee dal dena hai. gas ke flam ko hame medium hi rakhna hai. ab ham is ghee ke andar 1 bada chammac haata dal rahe hai aap chahe to ise skip bhi kar sakte hai. aate ko ham achche se mix kar lenge. iske bad hame aate ko achche se sik lena hai to aata jaise hi sik jaye tab hame isme badam ka paste dal dena hai. to isko achche se mix kar lena hai aur ise sek lena hai. to ise hame brown colour ka ho jane tak sik lena hai. gas ke flam ko hame law too medium hi akhna hai. to hame ise lagatar sikte hi rehna hai. to hame halwe ko chalate huye halka sa brown ho jane tak ise sek lena hai. 

Jab badam sik jaye tab ham isme adha cup dudh dal denge. to dudh ko hame thoda thoda karke dalna hai aur ise hame mix karte jana hai. to hamne sara dudh thoda thoda karke use kar lena hai. to ab ham isme chini dal denge to hame isme 1/4 cup chini dal deni hai yani ki hame isme 60 gram chini dal deni hai. to chini aap apne hisab se bhi dal sakte hai to iske bad ham isme bhige huye kesar ke patte 20 se 25 dal denge. aap chale to ise daliye warna skip bhi kar sakte hai. to ab ham ise bhi achche se mix kar lenge. to ab ham isme thoda sa ilaichi powder bhi dal denge. to ise bhi hame achche se mix karke thodi der ke liye pakana hai. to ab ham isme thoda sa pista dal denge aur mix kar denge. to thodi der chalane ke bad hamara halwa banakar bilkul taiyar hai to ab ham gas ko band kar denge. halwe ko ek bowl me nikal lenge aur ab ham halwe ke upar thoda sa pista garlish kar lenge. to hamara halwa ready hai. aap is halwe ko kisi bhi season me bana sakte hai ya fir aap ise 10 15 din tak freez me rakhkar aur bad me garam kar ke bhi kha sakte hai ye halwa bachcho aur bado ko sabhi ko bahut hi jyada pasand hota hai to aap ise ekbar banayenge to aapko bar - bar banae ka man karega aur ye halwa aapki sehat ke liye bahut hi jyada achcha hota hai to aap ise kabhi bhi banakar kha sakte hai. to aap is tasty halwe ko jarur banaye. 

To aaj ki hamari badam ke halwe ki recipe hamne bahut hi asan tarike se banayi hai. to aap ise apne ghar par jarur try kare ya bahut hi badhiya banakar taiyar ho jata hai. to aapko hamari aaj ki recipe pasand aaye to hame comment me jarur bataye aur aisi hi recipes ke liye hamare blog me visit kare. aur sath hi hame comment karke ye bhi batana ki aapse ye halwa kaisa bana. 

Post a Comment

Previous Post Next Post