Lots of rasgulla made with just two cups of milk.

Hello dosto swagat hai aapka hamare blog me jaha aaj ham banane wale ha bohot hi swdist or sabko pasand ho aisi bangoli mithai jis ka nam sunte hi aapke muh mai pani aa jaye or usko khane mai bhi bohot hi maja aata hai jiska naam hai rasgulla bohot sare log apne ghar par rasgulla banate hai par sahi dhang se nahi banta hai to aap ghar par kase rasgulla bana shakte hai sirf 2 cup dudh se aap kaise rasgulla bana shakte hai badi asani se aap kaise rasgulla bana shakte hai chaliye dekhte hai.
jab man kare ki abhi rasgulle khaye to bad mai kyu banaye.
To chaliye suru karte hai sabse pahele aapko leni hai ek kadhai usme aapko lena hai 2 cup dudh yani ki adha liter jitna dudh honga usko aapko kadhai mai dal dena hai or ubalna hai.dudh ubal jaye uske bad hame usko thodi der ke liye thanda karna hai hame bohot hi garam dudh nahi use karna hai usse achchhe rasgulle nahi bante hai to aap thanda karne ke liye chod dijiye jab tak yah dudh thanda hota hai ham chashni bana lete hai chashni banane ke liye hame ek kadhai leni hai aapko aisi kadhai ka use karna hai jo thodi high mai jyada ho jis se aap chashni banaye to wah bahar gre nahi.kadhai mai pani daliye or phir aapko add karni hai chini hame ek cup pani ka or do cup chini dalni hai matalab ki jitna hamne dudh liya hai hame utni hi chini leni hai hame isko achchhe se hilana mix kar lena hai aapko yah chashni ko tab tak ubalna hai jab tak yah ubal kar upar na aa jaye jab aapki chashni ubal kar ready ho jaye to aapko isko gas par se niche utar kar lena hai aab hamara dudh jo hai wah hame check karna hai aapka dudh itna garam nahi hona chahiye ki aapki ungali jal jaye aapka jo dudh hai wah thoda thanda hona jaye aab hame rasgulle banane ke liye isko ready karna hai iske liye hame chahiye paneer masala ya phir nimbu aapke pas jo bhi available hai aapko uska use karna hai aapke pas jo bhi hai uski 2 se 3 chammas dal dena hai paneer masala dalne ke bad hame isme add karna hai pani hame pani milakar isko hilana hai jab aap yah karege to yah jo dudh hai wah fatna start o jayega hame pani dalte jana hai or hilate jana hai aisa karne se hamare dudh mai guthali nahi padegi dae dane nahi aayenge bohot hi achchhe se fat jayega aapaka jo shena hai wah bohot hi soft banega aab hamara jo dudh hai wah bohot hi achchhe se fat gaya hai aab hame 2 se 3 minute tak isko aise hi chhod dena hai aab hame ek malmal ka kapda lena hai jo halwai use karte hai waisa kapda use karna hai agar malmal ka kapda nahi hai to aap normal koi dupatta hai uska bhi use kar shakte hai aab aapko ek bartan lena hai uske upar chhalni rakhni hai uske upar aapko yah jo kapda hai usko rakh dena hai aab aapko dhire dhire jo fata huva dudh hai usko dalna hai aab jo kapde mai dudh ka jo paste aa jaye uska use hame karna hai or jo pani hoga usko hath se daba kar puri tarah se nikal lena hai aapko thoda sa bhi pani nahi rakhna hai kyuki jitna kam pani hoga utna hi aapke rasgulle achchhe banenge.aab jo wah pani nikalega aapko usko bhi fekna nahi hai aap usko baju mai rakh lijiye aapko uska kya karna hai wah mai bad mai bataungi.aab jo kapde mai dudh ka paste aaya hai usko aapko ek thaki mai bahar le lena hai or aapko usko achchhe se alag kar lena hai.aapko hath se hi jaldi se yah paste ko alag kar lena hai aapko iske andar koi bhi guthali koi bhi dane yah kuch bhi nahi rakhna hai hame apna jo shena hai wah makhkhan ki jaisa banana hai agar aisa banega to aapke jo rasgulle hai wah bohot hi achchhe banenge or fulenge bhi to aapko ho shake tab tak isme ek bhi dana nahi rahne dena hai.
ghar par rasgulle banane ka asan or naya tarika.
Aab hamara jo shena hai usme hame add karna hai baking soda aap jo ghar par khane ka chammas use kar rahe hai to aapko adha chammas baking soda lena hai or uske sath aap add kar lijiye ek chammas jitna pani or phir se aapko achchhe se mix kar lena hai aab aapko isko achchhe se mix kar lena hai or aab aapko isme add karna hai meda or besan agar aap besan add karte hai to aapko adha chammas besan hi add karna hai or isko achchhe se mix kar lena hai.aap isme suji bhi add kar shakte hai suji isme jo pani honga usko shokh lega aab aapko jaise ham roti banane ke liye aata ready karte hai waise hi aapko aata ready kar lena hai.aab aapka jo shena hai wah ban kar bilkul hi ready ho gaya hai aab aapko isko jaise bhi rasgulle banane hai utme rasgulle bana shakte hai chhote ya bade lekin aap jab ball banaye to wah bilkul hi clean hone chahiye usme thoda sa bhi crush nahi hone chahiye aapko ek ke bad ek ball aise bana lena hai agar aap ball bana rahe hai or cruch aa rahe hai to aap thodi der ke liye isko fridge mai rakh dijiye 10 minute ke liye aapko isko fridge mai rakhna hai phir uske bad apko le kar phir ball banana ha tab bilku bhi cruck nahi aayega.aab hame phir se chashni gas par rakhni hai or isko garam hone dena hai or jo pani hamne rasgulle ka jo dudh hai usme se nikala tha wah pani hame chashni mai do chammas add karna hai aap jab yah pani dalenge to isme jak aa jayega halavai jo hote hai wah isko karne ke liye ritha bhi use karte hai to hamne ritha nahi use kiya hai ham yaha par yah pani hi use karenge aab aapko chashni mai rasgulla add karna hai aapko isko aise pakana hai ki rasgulle niche aa jaye or chashni upar aap chahe to isko cover bhi kar shakte hai dhakkan bhi dhak shakte hai.
Aapko 10 minute tak isko midium flam ke liye pakne dena hai phir 10 minute ke bad aapko dhakkan khol dena hai aap jab dhakkan kholenge tab yah jak bohot hi aayega to aapko thoda pani add karna hai chammas se or hilana hai or check karna hai aapke rasgulle pake ya nahi aapke rasgulle bilkul pak gaye hai or chashni bhi patli ho gayi hai or hilane se aapke rasgulle gol rahete hai aapke rasgulle agar chashni ke niche hai to wah pak gaye hai or chashni ke upar hai to abhi kachche hai aab aapke rasgulle bilkul hi pak gaye hai.aab aapko gas bandh kar lena hai or rasgulle ko bahar le lena hai agar aap isko store karna chahte hai to chashni mai hi rahne de or aise hi fridge mai rahne de aap ke bohot hi testy rasgulle taiyar hai.
Tags:
Recipe