20 minute me kaise banaye perfect crispy dosa | 20 min मे कैसे बनाये परफेक्ट क्रिस्पी डोसा? बिना दाल चावल भिगोये बिना पीसे |

 20 minute me kaise banaye perfect crispy Dosa.




Hello dosto swagat hai aapka hamare blog me. hamne kai recipes batayi hai jo aasan tariko me aapko batayi gayi hai. vah sari recipe aapko pasand ayi hogi. aisi asha rakhti hu.aaj bhi me aapko ek bahut hi masaledar aur jabardast recipe bataungi jise aap jankar jarur try karenge bahot hi asan hai. aap ghar par bhi try kar sakte hai. Bahot asan tarike se banaye ghar pe hi lajvab swadisht crispy dosa. aap ghar pe hi crispy dosa. banayenge jisme bilkul restaurant jaisa hi swad aapko milega. to chaliye ham crispy dosa ki recipe sharu karte hai. agar aap ghar par dosa try karna chahte hai.ya aap ko dosa khane ka man ho raha hai to 20 minute me aap ekdam perfect aur crispy dosa bilkul bana sakte hai. to chaliye ab ham perfect or crispy dosa ki recipe sharu karte hai.

Dosa banane ke liye jaruri samgri.

Aaj ham masala kitchen me banate hai masala dosa. ye ekdam crispy sa, insets sa, tasty sa dosa aaj banne vala hai.agar aapka man dosa khane ka hai.to aapko apne man ko kabhi bhi nahi marna chahiye. aapko dosa jarur banana chahiye.to aaj me aapko dosa banane ka ek aasan sa tarika kuch secrets ke sath batane vali hu. to chaliye ab ham dosa banane chalte hai.

Sabse pehle hame chahiye ek cup suji.aap ise rava bhi keh sakte hai.ap aap bada rava le ya barik rava.isko mixer me pisna hai. ab isme ham do chammach gehu ka aata daalna hai. in dono ko aate ko ek baar mixing me pisna hai. ab ek bowl me in dono ko dalna hai. ab jis cup me aapne aata liya tha usi cup me aap dahi le lijiye aur aate me daal dijiye. aapko normal dahi daalna hai. jo bhi aapke ghar me ho.ab ham isko mix karenge. ab isme ham aadhe chammch se bhi kam namak dalenge aur use mix kar denge. ab ham is mix me ham paani dalenge.paani hame utna hi daalna hai. jitna ki hamne dahi liya tha. pani dalne ke baad hame isko achche se mix karna hai. aur ab isko cover karke ek taraf rakh dena hai.

Dosa banane ke liye ki jane wali process. 

Ab hame ek pan lena hai.use gas par rakhna hai. aur ab usme hame 1 chammach oil aur aadhi chammach jeera dalna hai. aur bahut hi thodi si udad daal bhi dalni hai.isse dosa bahut hi crispy aur tasty banega. ab ham daalenge kuch kari leaves. bahot hi thoda sa hing powder bhi dalenge aur ab ise ham bahot hi achche se mix karenge. bahot hi barik kati huyi hari mirch. aap jitna spicy pasand karte hai. aap utni hari mirch daal sakte hai. 

Ab aage ham daalenge bahut thoda sa haldi powder aur lambi kati huyi 1 katori pyaj. ab mere pass 4 aalu hai boil kiye hue jise hame crush karke pan me dalna hai. ab ham isme daal denge swadanusar namak. ab ise mix kar denge. bahot hi aasani se aur jaldi se masala ban sakta hai. ab ye masala aapko dry lag raha hai to ham isme pani bhi daal sakte hai. jisse masala soft rahe. pani dalne ke baad ise hame achche se mix karna hai. mix karne ke baad ham isme uper se hari dhaniya dalenge aur isse masala dikhane me chcha lage.

Dosa ki chatni kaise banti hai.

Ab hamne sabse pehle  mixer liya hai. ab usme hame 2 hari mirch, 1 katori bhune huye chile chane, aur thodasa adrak, aur pyaj ka aadha gola dalna hai ab isme  ham dalenge swadanusar namak aur ghar ka jamaya huya dahi isme 3 chammach dalenge aur ise mix karna hai. ab pis ne ke baad bhi ye thoda dardra hai. to ham isme thoda sa pani bhi dalenge. aur ab fine paste kar lete hai. ab hamko ekdam perfact chatni dekhne ko milegi. 

Tadke ke liye hamne sabse pehle ham ek pan gas per rakhenge usme thoda sa oil dalenge.thodi si raay, jira aur ek sukhi sabud laal mirch aur kari patte ab ham ise achche se mix karenge aur baadme isme thoda sa hing dalenge aur sek kar us chatni me is tadke ko dal denge.ab hamari chatni ekdam taiyar hai. jo taste me bhi badhiya hone vali he 

Perfect aur crispy dosa banaye asan tarike se.

To ab dose ke buteer ko rust mil gayi hai lekar aate hai. uski consistency perfect ho gayi hai. ab isme bahot hi thodaa mitha soda dalenge.aur ise mix karenge. ab ham isme thoda sa paani bhi daal sakte hai. dose ki yahi consistency hai. ab ham isme thodasa paani dlne ke baad isko achche se mix kar denge.

Ab ham dose ko kisi bhi tave par bana sakte hai. aap ghar me roti banate ho wo tava bhi use kar sakte ho. bas wo tava flat hona chahiye. jisse dose ko ek achcha shape mil sake. ham aayrn ke tave me bhi bahot hi aasani se dosa bana sakte hai. bas hame use dose ke liye thodasa taiyar karna hota hai. jiski link me discription me daal dungi aap dekh lijiyega. 

Ab baari aati hai dose ko banane ki. ham yaha dosa banane ke liye purana tava use karne wale hai. sabse pehle hame purane tave ko sate karna padta hai.is purane tave ko sate karne ke baad hi ham dosa bana payenge. purane tave me dosa bahut achche tarike se banega. ab ham purane tave ko gas par rakhenge. is par dalenge thoda sa tel or tel ko pure tave me fela diya hai. ab hame tave ko thodasa garam hone dena hai.tava garam ho jaye to hamara dosa bilkul bhi nahi chipkega. achchi tatsh se ban jayega.

Tave par ab ham better dalenge.aur better ko dhire-dhire rotet karna hai.ekdam slow flam pe ye karna hai.pura better felane ke baad hame dose ka colour uper se change ho gaya hai.ab iske uper thodasa oil laga lijiye aur dose ke uper magi masala aur hara dhaniya dalenge. ab dosa ho gaya hai taiyar.ekdam south ke dose jaisa hi banega. ab ham dose me hamara banaya hua masala dalenge taki dosa bilkul taiyar ho jaye.

Ab hamara dosa bilkul hi taiyar hai. jo aap apni family ke sath ekdam maje se kha sakte hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post