Ekdam dhabe vala aalu paratha bas ye 3 tips jankar bina fate nae tarike se | एकदम ढाबे वाला आलू का पराठा बस ये 3 टिप्स जानकर बिना फटे नए तरीके से |

Ekdam dhabe vala aalu paratha bas ye 3 tips jankar bina fate naye tarike se.





Hello dosto swagat hai aapka hamare blog me. hamne kai recipes batayi hai jo aasan tariko me aapko batayi gayi hai. vah sari recipe aapko pasand ayi hogi. aisi asha rakhti hu.aaj bhi me aapko ek bahut hi masaledar aur jabardast recipe bataungi jise aap jankar jarur try karenge bahot hi asan hai. aap ghar par bhi try kar sakte hai. Bahot asan tarike se banaye ghar pe hi lajvab swadisht alu ka paratha. aap ghar pe hi alu ka paratha. banayenge jisme bilkul restaurant jaisa hi swad aapko milega. to chaliye ham alu ke paratha ki recipe sharu karte hai. agar aap ghar par alu ka paratha try karna chahte hai.ya aap ko alu ka paratha khane ka man ho raha hai to 20 minute me aap ekdam perfect alu ka paratha bilkul bana sakte hai. to chaliye ab ham aalu ke parathe ki recipe sharu karte hai.

Aalu parathe ki khasiyat jise jankar aap heran reh jayenge.

To dosto aaj ham aapko batayenge ki sabke man pasand aalu parathe.jo har kisi ko pasand hote hai. aalu ke parathe ka naam sunte hi har kisi ko parathe khane ka man ho jata hai.to aaj ham parathe banayenge. aalu ke parathe ekdam dhabe style banane ke liye aur parathe ko swadist banane ke liye ame jyada mehnat bhi nahi karni padegi.paheli baar me hi dhaabe jise hi perfect hi banenge. baloon ki tarah fule-fale banenge. aaj ki recipe ki khas baat ye hai ki ye na to fatenge. na aapka paratha aalu ka masala chipchipa honga. agar aapka paratha fat bhi jayenga na to bhi gubbare ki tarah hi fulega. aaj ham esi hi secret tips aapke sath share karne ja rahe hai. aaj ham aapko dusri aisi bhi tips batayenge jo bachcha hi bana sakta hai.   

Aalu ke parathe banane me lagne wali samgri.    

To  aalu ke parathe banane ke liye hame sabse pehle gehu kaa ata  lena hai. ab ham ek bada sa bartan lenge aur usme do cup gehu kaa ata dalenge. ab usme ham 4 chammach besan dalenge. yakin maniye aap besan dalke dekhiye aapke parathe bilkul fdhabe jaise hi banenge. ab usme ham dalenge swadanusar namak ab aapko aate me kuch bhi aur dalne ki jarurt nahi hai.itna to parsthe ke liye kaafi hai. ab aap ek baar sab ko barabr mix kar lijiye. isko achche se mix karna hai. jisse hamare parathe achche ban paye.

Waise to parathe banane ki sabki apni-apni recipe hoti hai.lekin aaj ham aapko ekdam dhabe style recipe batayenge jisse bilkul dhabe style hi parathe banenge. jo hote hai na dhabe style alu ke parathe ekdam ham aaj wise hi parathe banane wale hai. ham is mix me thoda-thoda pani dalenge aur mix karte jayenge. ab hae naram aatac gudna hai.jisse hamare parathe fate bhi nahi.aur bilkul achche bane. ab ham gune hue aate par thoda saghee dalenge.aur ghee dalkae ie thoda aur ise mix kar lete hai. ab isko ham lagbhag 15 minit tak rest pe rakh denge.

Dhabe ke parathe ki aalu ki staffing

Ab ham batayenge aalu ki parathe ki staffing.ab ham le lete hai 5 uble hue aalu.aalu ka paratha banate wakht aap thande hi aalu lijiyega.ab aalu ko chilkar taiyar karne hai.uske baad ham aalu ko kaddu kas kar lenge. phir ham hari mirch aur barik kata hua hara dhaniya isme daal dete hai. ab ham isme ek chota chammach lal mirch bhi dalenge. aadhi chammach garam masala.1 chammach dhaniya powder, 1 chammach jeera powder ab ham isme dalenge thoda sa jeera aur hing. ab hamisme 1 chammach cht masala bhi dalenge. ab last me ham isme swadanusar namak dalenge.ab ham ise achche se mix kar lenge. ab ham banayenge iske medium size ke balls.

Ab aata bhi ekdam taiyar ho gaya hai.ham isko ek baar aur masal lenge. jisse aata ekdam soft ho jaaye. ab is aate ki ham choti-choti lui bana lete hai.aur isko sukhe aate me lapet lete hai. ab isko paatli npar rakh kar isko faila denge. ise hath se failane ke baad ham is par ghee laga denge. aur jo hamne aalu wali stuffing taiyar ki haina ye ham usme rakh denge. ab hamko use uthakar puri lui ko uper se ekadam band kar denge. isko fise gol kar lijiye aur sukhe aate me lapet lijiye aur ab sko belna hai.isko bilkul soft tarike se belna hai.isme bilkul bhi preture nahi dena hai.warna jo masala hai,wo nikal jayega to paratha fat jayega. aapko bilkul softly belan chalana hai.aur kahi se bhi aalu ka masala bahar nahi aana chahiye uska khyal rakhna hai. aapko sukha aata lagate jaana hai aur belta jaana hai. aapke parathe me uper fling dikhni chahiye. jisse aapka paratha bilkul dhabe type hi banana hai. jisme aapko aalu ke masale ka taste jyada aayega aur aate ka kam.

Aalu ke parathe ko pakane ka tarika.

Ab ham sabse pehle tave ko gas par chadhayenge. aur tave ko mideum flam par achche se garam karenge. garam tave par paratha dhire se rakhenge. ab ham parathe ko bilkua bhi touch nahi karenge. jab tak parathe ki dusri taraf halka sa golden layer na ho jaye tab tak hame parathe ko touch nahi karna hai.golden layer aa jane ke baad hi ham parathe aapko pehle tave par ghee ya tel kuch bhi nahi daalna hai aise hi parathe ko sekna hai. parathe ko mideum flam par sekna hai. jab parathe par halka sa golden colour nahi aa jata tab tak ise hame sekne dena hai.jab parathe ki dusri taraf halka sa golden colour aa jaye tab isko dhire se ghuma dena hai. jab dusri taraf hamne parathe ko ghumaya hai tab niche se paratha fulne lage tab samjo ki paratha pak gaya hai. ab jab paratha dono taref se pak jaye tab hame parathe par thoda sa ghee lagana  hai. aap chahe to oil bhi daal sakte hai.par ghee dalenge to paratha jyada swadist rahega. jab pure parathe par ghee lag jaye tab hame parathe ko ulta kar dena hai.aur sekne dena hai. ab hame halka sa ghee dusri tarf bhi laga dena hai. or wapis flip karna hai. jab aalu kaa paratha ekadam se golden ho jaaye, tab hame parathe ko plate me utaar lena hai.

Hamare aalu ke parethe me ekdam saaf aalu ki flam dikh rahi hai. Ab ham aalu ke parathe ko kaat kar bhi dekh sakte hai. dikhne me aur khane me bahot hi tasty lagega. to aapko hamari aalu parathe ki recipe pasand aayi ho to hamare blog me jarur visit kare aur aisi hi recipes dekhne ke liye comment kare.


Post a Comment

Previous Post Next Post