When you make such mix veg at home, you will forget Dhaba restaurants | जब ऐसे मिक्स वेज घर पर बनाएंगे तो ढाबा रेस्टोरेंट भूल जायेंगे।

When you make such mix veg at home, you will forget Dhaba restaurants.




Hello dosto swagat hai aapka hamare blog me. aaj tak ham aapke liye kafi sari tasty or masaledar recipe lekar aaye hai. to aapko hamari aaj tak ki recipes pasand aayi ho to ye recipe bhi skip mat karna. kyuki aaj bhi ham aapke liye bahot hi delicious mix veg ki recipe lekar aaye hai. jise dekhkar aap apne ghar par ye recipe jarur try karna chahene. to aapko hamari aaj tak ki sari recipes pasand aayi ho to hame comment me jarur batana. aur roj - roj nayi recipes ke iye hamare blog par visit karna na bhule. ham aapke liye roj kuch nayi recipe lekar aayenge. jisse aap roj kuch naya sikh sake. to aapko kis tarah ki recipes pasand hai, ye jarur batana, taaki ham agli baar aapki pasand ki recipe bahot hi asan se tarike ke sath lekar aa sake. to aaj ham bahot hi tastymix veg banane wale hai. to chaliye ham aapko mix veg ke bare me aapko kuch secrets bataye. 

Mix veg ki recipe kai tariko se banti hai. to aaj ham aapko mix veg banane ka aaj ek naya asan sa tarika batane wale hai. to aaj ham hotel restaurant se bhi bahut badhiya mix veg ghar par hi banake taiyar kerenge. aaj ki recipe me ham mix veg banane wale hai jise aap taste karenge to dhabe ke mix veg ko bhul jayenge. to ham apni aaj ki recipe start karte hai.

Hotel restaurant jaisa mix veg banane ka asan tarika.

To ham aaj hotel restaurant jaisa hi mix banane wale hai. or wo bhi ekadam asan se tarike se. to aap ye recipe jarur tery kijiyega. bahot hi delicious or tasty mix veg banne wala hai. to chaliye mix veg banana sharu karte hai.

Mix veg banane ke liye hamne yaha par ek pan me 3 bade chammach oil liye hua hai. oil ko garam hone dena hai. uske bad ham isme 1 medium size ke aaloo ko cut karke dal denge. aaloo ko ham medium flam par lagbhag 2 minute tak fry karenge. ab ham isme add karenge 1 gajar ko slice me kat kar. sath hi ham isme 7 se 8 beans ko bhi slices me kaat kar add karna hai. inhe ham law flam par lagbhag 2 minutes tak fry kar lenge. uske baad ab ham yaha par gobhi add kar denge. sath hi 1/3 cup ke karib hame isme taja matar add kar denge. ab ham isme 2 choti chammach haldi powder dalenge. aur hamne 1/2 chammach namak bhi add karna hai. ab hame in sabko achche se mix karna hai. or in sari sabjiyo ko continue chalate huye medium flam pe lagbhag 5 se 6 minutes fry kar lena hai. sabjiya aadhe se jyada pak jani chahiye. 

To ab hamari sabjiye fry ho chuki hai, to ab ham inhe ek alag plate me nikal lete hai. ab ham bache huye oil me pyaj ko add karenge. hamne yaha par 1 mideum size ka pyaj liya hai. pyaj ko hamne slice me cut karke dala hai. ab ham isme ek medium size ke shimla mirch ko slices me kat kar isme add  kar denge. inhe bhi ham 2 minute ke liye medium flam par fry kar lenge. to jab ye fry ho jaye. to ham ise bhi ek plate me nikal lenge. 

Bache huye tel me ham paneer ko fry kar lete hai. yaha par hamne 60 gram paneer liye hai. to paneer me halki si brown coating aane tak ham fry kar lenge. mix veg me paneer ahot hi achchca lagta hai. to hamara paneer bhi fry ho gaya hai. ise bhi ham ek plate me nikal lenge. to hamara shimla mirch, pyaj or paneer bhi taiyar hai. ab ham khalbatte me 5 se 6 kali lahsun ki dalenge. ek hari mirch or 1 inch adrak ka tukda dalenge. ab ham in tino chijo ko crush kar denge. isse sabji bahot hi tasty banti hai. to sari taiyariya ho chuki hai. to ab ham final sabji banate hai. 

Hamari pan me jo oil bacha hai ham usme 1 table spoon oil or le leta hai. tel ke garam ho jane par ham isme 1 chota chammach jeera add kar denge. or thodi si hing bhi add kar denge. jeere ko ham thoda sa bhun lete hai. or gas ki flam ko thoda sa law kar dete hai. ab ham isme adrak, lahsun or hari mirch add kar denge. jo hame crush karke rakha tha. inhe ham thodi der ke liye fry kar lenge. iske fry ho jane ke baad ham isme ek medium size ka pyaj bariki se kat kar add kar denge. pyaj ko ham soft hone tak or halka sa colour change hone tak bhunenge. ab ham isme masale add karenge. ek chota chammach dhaniya powder, aadha chota chammach haldi powder, 1 chota chammach lal mirch ko add kar dengew. masalo ko mix kar dijiye. ab ham yaha par 2 tamatar ke paste ko add kar denge. sath hi ham isme taste ke according namak bhi add kar denge. to ab ham ise mix kar denge. 

Ab ham isme add karenge 1 table spoon butter. butter ko achche se mix kar lijiye. ab ham isme 2 chammach garam pani add kar dete hai. ab ham isme 1 chhota chammach bhuni huyi kasoori methi add kar denge. or 2 bade chammach fresh cream bhi add kar denge. aadhi choti chammach garam masala add kar denge. in sabhi ko mix kar dena hai. ab ham isme fry ki huyi sabjiya add kar dete hai. mix kar denge. ab ham isme pyaj , shimla mirch, paneer bhi add kar denge. inhe bhi ham achche se mix kar dete hai. thoda sa garam pani dalkar dhak dena hai. 12 se 15 minutes ke liye pakne dena hai. to hamari aaj ki recipe mix veg bankar bilkul taiyar hai. to last me ham is par barik kata hua hara dhaniya add kar denge. or gas ki flam ko band kar denge.

To hamara hotl restaurant jaisa mix veg banakar bilkul taiyar hai.to aapko hamari aaj ki recipe pasand aayi ho to comment mew jarurr batana. aur aisi hi achchi recipes ke liye hamare blog par visit kare. 

Post a Comment

Previous Post Next Post