Crispy Tasty Veg Manchurian will be made now at home then why would you eat it outside the house | क्रिस्पी टेस्टी वेज मंचूरियन बनेगा अब घर में फिर क्यों खाएंगे घर के बाहर |

Crispy Tasty Veg Manchurian will be made now at home then why would you eat it outside the house.




Hello dosto aapka swagat hai hamare blog me. hamne aapko abhi tak kai sari recipes ke bare me bataya hai. jo kafi easy aur tasty bhi thi. aaj bhi ham aapke liye kuch aisi hi recipe lekar aaye hai, jo aapko pasand aayegi. aap apne ghar pe ye recipe try kar sakte hai. to dosto aaj tak ki recipes aapko pasand aayi ho to aap hamare blog par jarur visit kijiye. aur aisi hi recipes ke liye comment kare. aapko kis tareh ki recipes pasand aati hai ye bhi hame comment me batayiye. taki ham agli baar aapke liye waisi recipes try kare. 


To dosto aaj ham aapko masaledar recipe ke bare me batane wale hai. jise aap kabhi bhi apne ghar par try kar sakte hai. to ham aapko aaj manchurian ki recipe ke bare me batane vale hai. jo aapko try karna chahiye.to aaj ham aapko ekdam market jaisa perfect Swadist manchurian banane ka asan sa tarika batayenge. jisse aapkeo ekdam hotel restaurant ke manchurian ka hi swad aayega.to chaliye ham manchurian  banana sharu karte hai.

Ghar par hi banaye veg manchurian.

To dosto sabjiyo ka season hai. aajkal har jagah hari sabjiya mil rahi hai. to ham in hari sabjiyo se banane wale hai veg manchurian. to aaj ham bana rahe hai, dry manchurian, veg manchurian. to hame isko aise banana hai ki aap ise as a snack as a starter kha sake. iske liye hame 1 bade gajar ko barik kat liya hai. thodi si shimla mirch ko bhi barik kat liya hai. yaha par hamne ful gobhi li hai. usko bhi hamne barik kaat liya hai. hamare pas french beach bhi hai isko bhi hame barik kat lena hai. patta gobhi ko bhi kaat kar le lena hai. 

Ab hamne yaha par lahsun le liya hai. aur adrak bhi bahot sara lena hai. aur use grade kar dena hai. hame hari mirch bhi leni hai. aap apne taste ke according dal sakte hai. aur hamne liya hai. hari pyaj. hari pyaj ka hame open vala part kat lena hai. aur niche vala green patte bhi kaat lena hai. to ab ham manchurian banana sharu karte hai. 

Manchurian balls kaise banaye ?

Ham manchurian balls banayenge. ab ham ek bada bowl lenge. usme dalenge sari sabjiya. is sabjiyo me thode se hari pyaj ke patte bhi dalenge. aur thode ham bachake rakhenge. pyaj ka upar vala part bhi thoda sa dal denge. ab is sabji me ek chota chammach namak daal kar ise mix karenge. aur ham ise 10 minute ke liye dhakkar rakh denge. uske baad hame in sabjiyo ko chalni me dalkar iska pani nikalna hai. ab ham isme dalenge thoda lahsan barik kata hua. thoda adarak. hari mirch aap apne taste ke according dalenge. bak ab ham aalo dale ge jinke karan hame sabse jaya da aakarshak phoshan milta hai jinke vaja hai hamari re reiciepi ka nam bhi bade ga jinke karan hame assa rahega jab ham aalo dalte hai to uski test hamesa assi aati hai jinke karan hamari reiciepi ka test bhi asa rahega jinke karan hamari test me hamesa swad bhi assa rahega aarotan ham us kar sakte hai jab ki ham besan bhi us kar sakte hai tabhi hame hamari rashoime sabse jayada benefit raheta hai tabhi ham hamari rashoi ka bhi nam bada sakate hai ab ham 4 samas menda dalege jinke karan jabhi hamari rashika nam badega tabhi ham jante hai hame sabse jayada benefit ho asa hi test lena sahiye ham dhire dhire se sab masale dale ge jinke vaja se hamari rashoisabse jayada benefit rahena vala test lena sahiye ab ham sab masala dal ke usame ham bina pani ke ise mix karege jinke vaja se hame bahut hi assa benefit rahega ham usako thik se mix karege or bhir jabhi ham use thik se mix karege or maja khane me assa raheta hai bana mix karege or jinme se ham jante hai ki aap bahot hi achchee se mix karna hai. 
 
Ab ham iske balls bana lenge. aap dekhiye balls banane me koi problem nahi aayegi. aur ye andar se kachche bhi nahi rahenge. is tarah se aap gol gol balls banalijiye. ab hame kadhai gas par rakh deni hai. gas ke flam ko on karna hai. our kadhai ko garam karni hai. pan me hame oil garam karna hai. to ab hamare balls bhi taiyar hai. ab hame balls ko fry karna hai. hame inhe 2 bar fry karna hai. jab ham pehli bar fry karenge to medium flam per fry karna hai. aur baad me jab second time fry karenge to tej flam par ham ise fry karenge. hamare balls ki windng bahot hi badhiya hai. ye bilkul bhi nahi chipkenge or na hi tutenge. hamare balls shedule fry me hi crispy lag rahe hai. ab hame ise nikal lene hai. ab ye shedule fry ho gaye hai. ab ham gas ke flam ko full kar dena hai. ab hame oil ko garam hone dena hai. fir ham wapis se balls ko andar dal dete hai. 

hamare balls tal ke bilkul taiyar hai. aap jab serve kare tab garam - garam hi khayiyega. kyuki ye chinize khane ki speciality hai. ki ye garam garam hi achchi lagti hai. 

Manchurian ka sos banane ka tarika.

Sabse pehle ham ek pan ko gas par rakhenge. usme ham thoda sa oil dalenge. or usko mideum flam par garam hone denge. ab ham isme dalenge lahsun, fir adark, aur apne taste ke according hari mirch. ab ham in 3 no chijo ko achche se mix kar lenge. ab ham isme thodi si patta gobhi dalenge. shimla mirch add karenge. aur hari pyaz ka uper wala part hai wo dalna hai. ab isme ham dalenge kali mirch powder. taste ke according namak addk karenge. ab ham isme green chili sos dalenge. 2 table spoon. ab ham isme 1 table spoon red chili sos bhi add karenge. 2 table spoon tomato catchup add karenge. ab ham isko achche se mix kar denge. ab ham isme balls dal denge. aur inhe mix karna hai. ab ham last me hari pyaj. ab ham gas band kar denge. to hamara veg manchurian bilkul taiyar hai. 

TO dosto aapko hamari ye recipe pasand aayi ho to comment karke hame batayiyega. hamari aur recipes dekhne ke liye hamare blog pe jarur visit kijiye. 

Post a Comment

Previous Post Next Post